Detailed Notes on #islamic #sabaq #deen #ka

तहरीके इस्लाहे मुआशेरा आल इंडिया मुस्लिम पर्सनल लॉ बोर्ड।

Aaj jis maghrabi Tehzeeb ko aurat ka nijat dahinda samjha jata hai, agar gehrai ke saath socha jaye to usne aurat ki tazlil mein koi kasar baki nahi rakhi hai aur aazadi ke naam par us ko is baat par majboor kar diya gaya click here hai ke wo fara’iz e madri ko bhi adaa kare aur fara’iz pidari ka bhi kuch hissa apne zimma le le, use bacche bhi paida karna hai, apne bacchon ko doodh pilana aur unki parwarish ki zimmedari bhi anjam dena hai, umur-e-khana dari se bhi nimatna hai aur saath hi saath mulazimat bhi karni hai aur kasb_e_maash mein bhi haath batana hai, phir is ki ruswai ka sarosamaan is tarha kiya gaya ke machis ki dibiya se le kar zewarat,kapdon aur filmon ke ishtehar tak har jagah uske husn ko be-hijab aur gairat wo haya ko be-libas kiya jata hai, kya koi sharif insan apni maa, bahen ya beti ko be-libasi ki halat mein dekhna gawara karega.

हजरत मौलाना राबेअ हसनी नदवी दामत बरकातहुम

देशकेसमस्तवासियोंकेदेसीअधिकारबराबरहों

آل انڈیا مسلم پرسنل لا بورڈ کے پیغامات, اعلانات ,اکابر علماء کےبیانات, اصلاحی مضامین و مقالات, بورڈ کی اہم شخصیات پر لکھے گئے مضامین حاصل کرنے اور ہنگامی مسائل سے متعلق بورڈ کا موقف جاننے, نیز بورڈ کی موجودہ سرگرمیوں سے باخبر رہنے کے لئے بورڈ کے آفیشیئل فیس بک پیج کو لائک کریں:

शरीयत की यह वह बड़ी खूबी है जिसकी बेना’ पर हर जमाना और हर मुआशेरा में इस पर अमलदरआमद आसान रहा है और इसकी तलकीन की जाती रही है, और चूंकि यह शरीयत इंसानों की बनाई हुई नहीं है, बल्कि इस अर्ज व समा’ और इसकी मखलूकात के खालिक अल्लाह रब्बुल आलमीन की तरफ से मुकर्रर करदाहै, और वह इंसान की ताकते अमल और जरूरत को सबसे ज्यादा जानता है, इसलिए यह कानूने शरीयत इंसान की फितरत के बिलकुल मुताबिक है। इसीलिए दीने इस्लाम को “दीने फितरत” से भी ता’बीर किया गया है। और चूंकि यह शरीयत उसी जाते आ’ला व अजल की मुकर्रर करदा है इसलिए इसकी मखलूक में से किसी को भी इस में तरमीम व तगैयुर का हक नहीं है।

तलाक के व्यर्थ प्रयोग से बचने के लिए मानसिक प्रशिक्षण की आवश्यकता है

Islam ka qalib jin qanooni dastavezo aur fitri usulo se mashiyyat e khuda wandi ne taiyyar kiya hai un me tamam hangami aur dawami islahat aur un ke usool wo qawanin jama kar ke un me se un tamam samaji buraiyo ko nikal diya hai jin ka naam jahalat tha. Is mein kisi taghaiyyur aur tabdili ke mani us jahiliyat ko dobara le aane ke siwa dusre nahi ho sakte, jis se malik e mutlaq ne insaniyat ko paak karke darja e kamal par pohchaya tha.

यूनिफॉर्म सिविल कोड हमारे देश के लिए मुनासिब नहीं!

Mard par biwi aur baccho ke ikhrajat ke alawa meher ki shakal mein ek rakam bhi wajib hoti hai. Alehdagi ka faisla agar bilwaste aurton ke bhi hawale kiya jata to aurtein apne is haq ko istemal karte jis ke natije mein aurton par koi zimmedari aayed nahi hoti magar meher ki rakam ki fori adaigi aur bacho ki kifalat aur tarbiyat ka nizam mard ko karna padta aur mard bila wajah dushwariyon mein mubtela hota, isliye shariyat ne aledagi ka barahe-rast ikhtiyar mard ko diya choose apne haq ko istemal karte waqt wo in akhrajat aur dushwariyo ki fehrist ko bhi samne rakhe aur kamzor asbab ki buniyad par ya bila sabab biwi ko alaheda na kare.

हजरत मौलाना सैयद मिन्नतुल्लाह रहमानी रह०

Hindustan ek bada mulk hai, yahan musalman Aqalliyat mein hone ke bawajud badi tedad mein hain, wo apni moa’tadbah tedad ki bina par aur apni mazhabi ukhuwwat ke lehaz se mustaqil ek qaum aur millat hain, mulk ka dastur apne bashindon ke har giroh-w-mazhab ko apne mazhab aur pasand ke mutabiq zindagi guzarne aur idare qayam karne ka haq deta hai, is tarha yahan musalmano ko apne mazhab aur us ke ahkam par amal karne ka mauqa hasil hai, ab ye un ka kaam hai ke apne mazhabi ahkam ki raoshni mein zindagi ustuwar karein, aur shariat-e-islami ke mutabiq zindagi guzaren.

तहरीके इस्लाहे मुआशेरा ऑल इंडिया मुस्लिम पर्सनल लॉ बोर्ड

Auqaaf ki jaa’yedado ki shakal mein millat-e-islamia ka qeemti ijtemai sarmaya pure mulk mein phaila huwa hain,agar in jaayedado se bharpur aur sahi masraf liya jaye, to na sirf musalmano ki ta’alimi aur iqtesadi halat badal jayegi, balke poore mulk ki tasveer par is ka gahera asar hoga, is liye musalmana-e-hind ke mazhabi aur samaji numaindo ne aise naye waqf (Act) ka barabar mutaleba kiya hai jo mazboot, asar dar ho, wakf ki jaayedad se ghalat aur na-jayez qabzo ko hatane ki taqat rakhne wala ho, aur waqf ki taraqqi ka zariya ban sake, waqf ki jaayedado se millat-e-islamia ki salah-o-falah ka rasta ban sake, aur bahot se rakhe pade ijtemai kaam anjam diye ja sakein…..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *